Monday, June 2, 2014

Zindagi ek Chai ka Pyaala




Ummeedein, mushkile, nateeje, faisle,
lagne ko toh lagta kathin mixture hai
asal mein toh zindagi ka bada saral formula hai,
zindagi toh bas ek chai ka pyaala hai

Gareeb ho ya ameer, dono is se na choote
apni apni tarah se dono ise jee lete
ek ka simple kaanch ke cup mein, toh ek ka china clay mein daala hai
zindagi toh bas ek chai ka pyaala hai

Sahi hisse ki peeyo toh refreshing positivity hai,
zaroorat se jyada ho toh sirf acidity hai,
limit mein hi sahi, par zaayka samajh ke peenewala hai,
zindagi toh bas ek chai ka pyaala hai

Jo ek ke liye sahi ho, zaroori nahi doosre ke liye bhi ho
koi majboori se, toh koi choice se badal deta hai jo,
normal, iced, greean, ya bina doodh kaala hai,
zindagi toh bas ek chai ka pyaala hai

Koi ek hi baari mein poora jeeta hai,
toh koi teen-chaar baar cutting peeta hai,
har ek ka jeene ka andaaz nirala hai,
zindagi toh bas ek chai ka pyaala hai


Is pyaale ko peene ki ek ada hoti hai,
is zindagi ko jeene ki ek wajah hoti hai,
mithaas, kadwaahat, sab ko ek karne wala hai,
dukh ka biskoot dubo ke rakho toh permanent andar girne wala hai,
zindagi toh bas ek chai ka pyaala hai...!!!

2 comments: