Saturday, March 29, 2014

Ek Mulaaqaat

Maybe experiences around and about, or maybe even a little introspection..
Here it goes...!!!

Zindagi ki tez raftaar mein daudne ki rehti hai koshish,
poori karne ke liye sirf ek thodi na hai khwaahish,
inhe poora karte karte bhaag rahe hum din raat,
isi mein karni baaki reh jaati hai, ek mulaaqaat...

yun toh din mein log milte hain pachaas,
koi khush, koi khaamosh, koi chulbula, koi udaas,
kehne ko toh ho jaati hai pachaas mein se tees se baat,
par use koi kaise kahe, ek mulaaqaat...

aaj kal chamkeele kaagaz se cheezein lapetne ka zamaana hai,
pata nahi hota andar kya khazaana hai,
waqt daalne se hi hoti hai wo jaanane ki shuruaat,
aise mauke ke liye lagti hai, ek mulaaqaat...

na jaane kitni cheezon pe aaj ho gaye hain nirbhar,
bejaan saamaan mein ghire itne, wahi jaate hain thehar,
dhyaan bhi nahi rehta, kaun hai, kaun nahi hai sath,
sirf ek dost, ek jagah, dheemi hawa, atoot dhyaan, aise kyun nahi hoti mulaaqaat...

phir kisi ek din jab kuch kehna rehta hai,
jab koi khushi hoti hai, ya koi sawaal khada hota hai,
tab insaano ke beecho beech bhi shayad hi koi sune baat,
tab apna hi kiya, apne ko hi de jaata hai maat.
phir man tarastaa hai, karne ko wo mulaaqaat...!!!


I may or may not be in this situation. Either ways, expressing that is not the purpose. The purpose is just to express, the purpose is just to make an attempt to let some thoughts find few words..!!

No comments:

Post a Comment